Panna Zindagi ka...
Panna Zindagi ka...
Kabhi kora sa kabhi syahi mein
Main panna hun dakhila har kitabon mein
Kabhi Khushi mei kabhi gham mein
Main dil se lagaya gaya har lamhaton mein
Kabhi aansuon se bheegane kabhi unhe chupane mein
Main vo marham bana kisi ke pyaar ko jatane mein
Kabhi bikhere aur kabhi samete jaane mein
Main joora raha har dil ke jasbaaton mein
Main ek kissa nahi shaamil hun puri kahani mein
Chahe rahun tehra ya behta muh zubaani mein
