STORYMIRROR

prince kealfaz

Romance Tragedy

4  

prince kealfaz

Romance Tragedy

ghar ka Chhota beta

ghar ka Chhota beta

1 min
0

Ghar ke har Kone mein jiski nadaniyan bolati Hai badon ki dant ke piche bijon khushiyan tolta hai 

Kabhi sabka dulara to kabhi sab ki tanashahi sahta Hai 

Vah ghar ka sabse Chhota beta hai jo Aksar chupchap rahata hai 

Pita ki aankhon ka Tara Man ka vah Jigar ka tukra hai 
Kahane ko sabse Chhota per samajhdari mein bada dikhata hai 

Papa ke dant pade to Man ki Aanchal mein chhup jata hai 
Per mushkil ghadi Aaye to sabka hosla ban jata hai 

Bhai bahanon ki farmaish Koi bich apni khwahish dabata hai 
Sabki khushiyon ki khatir apni har jid bhul jata hai 

#princekealfaz #shayari #foryou 


विषय का मूल्यांकन करें
लॉग इन

More hindi poem from prince kealfaz

Similar hindi poem from Romance