pub g girl skyra
pub g girl skyra
Skyra naam ki ek ladki thi woh bahut chote ghar main rehti thi woh medium class thi...isliye uske pas mobile nahi tha!
11 th thi uski par uske pas mobile nahi tha...uske maa,baap ne use mobile nahi diya tha! par skyra kabhi unse mobile nahi mangti thi usko pata tha uske maa,baap ke pas itne paise nahi hai woh kaise to use padhane ke liye thode paise kamate hai!
Skyra subah uthkar fresh hokar breakfast karkar collage gayi college main tab Tak teacher nahi aayi thi... to sab student ne mobile nikala or game khelne lage to skyra unhe dekhti reh gayi or sochne lagi kash mere pas bhi mobile hota main bhi mobile chalati!
Phir thodi der baad college ki chuuti huyi to skyra college se ghar aane nikli tabhi...skyra ka college frnd priyanshu daudkar skyra ke pas aaya.. bola skyra aaj mere ghar party hai or bahut dost aayenge tum bhi aao!
tabhi skyra bolti hai..nahi!
priyanshu tabhi bolta hai tumhe aana padega..main kuch nahi janta or waha se chala jata hai
Skyra ghar pahuchti hai or sochti hai kaise batau maa,papa ko kya karu? tabhi uski maa awaj lagati hai skyra khana khane aao
ye awaj sunkar skyra khane ki table par aati hai or khana khati hai or himmat karke bolti hai ki maa, papa mere kal exam aanewale hai...to main apni dost ke ghar padhai karne ja rahi hoon or der ho jayegi, tabhi uski maa bolti hai...kitna time ho jayega?
tabhi skyra bolti hai subah ho jayegi!
tabhi skyra ki maa bolti hai tum kahi nahi ja sakti yahi raho yahi padhai karo!
skyra bolti hai pleasee....maa, papa mujhe Jane do skyra bahut request karne ke baad tabhi uski maa baap bolte hai thik hai jao jaldi padhai ho to jaldi aao
Skyra pyara sa salwar suit pehanti hai, khule balo main, ek choti si klif lagati hai or bahut hi pyari dikh rahi thi! or ghar se nikalti hai riksha main baithkar priyanshu ke ghar aati hai
Skyra priyanshu ke ghar pahuchti hai skyra bahar hi thi woh awaj lagati hai
Priyanshu, priyanshu.....
Priyanshu skyra ko dekhkar bolta hai achha hua tum aa gayi.. aao yaha!
party main skyra andar chali gayi party main priyanshu ke sare frnds dance kar rahe the.. dj lagaya tha to priyanshu thodi der ke liye waha se jata hai or skyra ko bolta hai tum enjoy Karo main aaya!
ek ladka tabhi skyra ke pas aata hai or skyra ko drink deta hai!
to skyra bolti hai ki main nahi piti!
tabhi woh ladka bolta hai arre pio... kuch nahi hota or skyra ke mooh par drink ka glass lagata hai...tabhi waha priyanshu aakar us ladke ko bahut marta hai or bolta hai skyra nahi pina chahti to tum zabardasti pila rahe ho or marta hai us admi ko tabhi skyra priyanshu ka hath pakadti hai or bolti hai priyanshu ruk jao... mat maro rehne do tabhi priyanshu rukta hai or bolta hai party khatam ho gayi sabhi ja sakte ho!
Skyra priyanshu ko bolti hai party khatam huyi hai to mujhe bhi ghar jana chahiye!
main ghar main bataungi ki study jaldi khatam huyi... isliye aa gayi! tabhi priyanshu ne bola main chodta hoon tumhe ghar tabhi skyra ne bola nahi...priyanshu tum nashe main ho main khud jaungi
Skyra priyanshu ke ghar se nikalti hai...auto ke liye rukti hai tabhi thodi der baad waha ek jip aati hai or woh skyra ke side rukti hai or usme 2 log the woh bolte hai... aa hamari jip main bahut zagah hai!
tabhi skyra aage aage daudne lagi...tabhi woh log skyra ke aage hi jip rok di!
ek bahar aaya or skyra ko chedne laga
tabhi usi time ek awaj aati hai!
Ek bike ekdam jor se in gundo ke pas aa rahi thi...to ye donho waha se hat Gaye us bike se ek admi utara woh bahut akarshak tha black shirt jeans or chashma or bahut akarshak lag raha tha!
Woh utarkar in gundo ki marna chalu Kiya or bola ladki ke sath bathneez karega? tabhi un gundo main se ek admi ne chaku nikala or bike par aanewale ladke par chalane hi ja raha tha skyra ek pathar leti hai or us gunde ke sir par deti hai! par woh chaku us bike par aanewale admi ke hath ko thoda sa cut karta hai or ye dekhkar woh gunde waha se bhag jate hai!
skyra tabhi us admi se puchti hai aap thik ho? 'Thank you' apne meri help kar di or khud ka dupatta fadkar us admi ke hath par bandhti hai! tabhi woh admi skyra ki aanko main dekhta hai or tabhi skyra puchti hai aap thik ho?
Tabhi woh admi bolta hai tum yaha kya kar rahi ho? itni raat ko yeh jagah safe nahi...tumhe kahi Jana hai to main chod du! tabhi skyra bolti hai nahi thik hai tabhi woh admi bolta hai chalo main tumhe chodta hoon !
skyra bolti hai aapke hath par laga hai aap kaise mujhe mere ghar chodoge Mera ghar bahut door hai!
Tabhi woh admi bolta hai thik hai... main nahi chala sakta par chahiye to tum mere ghar ruk jao tabhi skyra bolti hai main aise kaise ruk jau main aapko janti bhi nahi
Woh admi bolta hai tumne itni help ki meri tum chaho to kal jao mere ghar raho! to skyra sochti rehti hai ...man main bolti hai itni raat ko main ghar bhi nahi ja sakti thik hai main is admi ke ghar aaj ruk jati hoon
Aryanveer bolta hai kya hua Miss? tabhi skyra bolti hai mujhe Miss mat bolo Mera...naam skyra hai or aapka naam to aryanveer bolta hai main ek handsome Banda or kare sabki raksha woh hoon main aryanveer! tumse milke Khushi huyi to skyra bolti hai itne dard main bhi majak kar rahe ho aryanveer!
Skyra bolti hai chalo or skyra aryanveer ke bike par baithti hai or aryanveer bike chalata hai ...woh donho aryanveer ke ghar pahuch gaye!
(Aryanveer ke ghar gayi kya ye skyra ne thik kiya ki inke bich pyar to nahi hoga)

