Muskurahat Ke Peechhe
Muskurahat Ke Peechhe
Chapter 1: Ek Muskurati Hui Ladki
Ye kahani hai ek aisi ladki ki…
jo hazaar gham hone ke baad bhi hamesha muskurati rehti thi.
Apno ki khushi uske liye khud se zyada maayne rakhti thi.
Us waqt meri medical training chal rahi thi. Zindagi apni raftaar se chal rahi thi—kitabein, hospital, patients… aur beech-beech mein thakan bhari muskurahat.
Shaadi ke rishte lagataar aa rahe the, lekin mere walid ka seedha sa kehna tha:
"Jab tak tum haan nahi kahogi, main kisi rishte ke liye haan nahi karunga."
Ek din unhone ek ladke ki tasveer dikhayi.
Maine sirf itna poocha, “Ye kaun hain?”
Unhone bataya, “Lucknow mein job karta hai. Iski walida nahi hai… khala-khalu ne pala hai. Baap ki mental health theek nahi hai.”
Maine koi jawab nahi diya. Shayad dil kuch kehna chahta tha… par lafz saath nahi de rahe the.
