33 Koti: Cosmic Order of the Universe
33 Koti: Cosmic Order of the Universe
33 Koti Dev-Devta
Chaalis crore nahi, yeh gyaan ananta,
’Koti’ ka arth hai 'prakar' (type) bhagwanta.
Srishti ko sambhalne wali jo shaktiyan hain,
Unhi 33 divya devon ki yeh katha hain.
8 Vasu — Srishti ke Adhar
Dhara (Prithvi) aur Anala (Agni) ka roop,
Anila (Vayu) aur Apa (Jala) chhaya-dhoop.
Dhara (Aakash) aur Pratyusha (Bhor ka prakash),
Prabhasa (Chamak) aur Soma (Chandrama) ka vaas.
Yeh aath Vasu milkar bhautik sansar chalate hain.
11 Rudra — Chetna aur Sanhar
Unche swaron mein jo Jeevan ka saar gaayein,
Dus Indriyan aur ek Mann ko jo dharayein.
Kapali, Pingala, Bheema, Virupaksha ki shaan,
Vilohita, Shashta, Ajapaat, Ahirbudhnya mahan.
Sambhu, Chanda, aur Bhava ka vikat roop,
Pralay aur chetna ke devta anoop.
Yeh gyarah Rudra hamare sharir aur mann ki shakti hain.
12 Aditya — Surya ke Bhashkar
Saal ke barah mahinon ke jo prakaash hain,
Dhatri, Mitra, Aryama, Indra ka vaas hai.
Varuna, Ansa, Bhaga, Vivasvan ki kaanti,
Pusha, Savitri, Tvashta, Vishnu laayein shanti.
Yeh barah Aditya kal-chakra aur surya-prakaash ko niyantrit karte hain.
2 Ashwini Kumar — Aarogya ke Dev
Divya vaidya jo rog sabhi har lete hain,
Swasthya, teej, aur nav-jeevan var dete hain.
Srishti ka Yeh Pavan Kosh
