Izhaar, Intezaar Nahi
Izhaar, Intezaar Nahi
Kisi se mohabbat ho toh izhaar karo,
Intezaar nahi...
Waqt rehte usse beintehaa pyaar karo,
Takraar nahi...
Jitna bhi waqt mile, uske saath bitaaya karo,
Sirf mazaak nahi...
Uski har khwaahish poori karne ki koshish karo,
Beparwahi nahi...
Kyunki mohabbat sirf mehsoos karne ka nahi,
Jataane aur nibhaane ka naam bhi hai...

