Kuch Alfaaz Adhoore Rahe
Kuch Alfaaz Adhoore Rahe
Tum ek baar peene ki zid karte ho,
Main har dafa sunkar darr jaati hoon,
Hai darr mere bheetar, ekdum sehma hua,
Kahin tum bhi na chhod do unki tarah.
Kaise bataaun kya hua tha uss raat,
Jab mere baba aaye the,
Ladkhadaate hue uss bheegti raat.
Tum poochhte ho mujhse yeh baat har raat.
Toh suno, kya hua tha mere saath,
Meri awaaz dab jaati hai,
Jab bhi zikr hota hai uss raat ka.
Mera jism cheekh raha tha har aati saans ke saath,
Meri rooh sisak rahi thi halki si awaaz mein,
Mere honth maang rahe the kisi awaaz ko,
Aur mera mann tham sa gaya tha uss raat ko.
Isse zyada kya main kahoon, yeh baat adhoori rahe,
Agar bata diya toh roohani ho jaaungi main.
Kuch alfaaz poore hokar bhi adhoore rahe,
Har baat ka zikr mere honthon se ho, yeh zaroori nahi.....
