STORYMIRROR

Hetvi Gadhia

Abstract Classics Others

4  

Hetvi Gadhia

Abstract Classics Others

“Tooti Si Dosti”

“Tooti Si Dosti”

1 min
255

abhi haansti thi tu, meri baaton pe,
Aaj khamoshi hai, har mulaaqaaton pe.
Woh lamhe jo humne saath jeeye the,
Lagta hai aaj kal, woh sirf kahaniyaan thi.

Tu roothi hai, ya main badal gayi hoon?
Jo baat dil mein thi, woh kyun na keh saki hoon?
Tere bina ye sheher bhi suna suna hai,
Jaise chand to ho, par uski roshni gum hai.

Dil ke kone mein ek darr basa hai,
Tujhe kho dene ka, tujhse judaa ho jaane ka.
Tere bina main poori kaise hoon?
Jab tu hi mera adhoora hissa tha?

Teri har baat yaad aati hai baar-baar,
Woh chutkiyon mein ki gayi raatein bekaar.
Ab toh sirf yaadon ka ek saaya hai,
Aur dosti ka khumaar thoda sa baaqi hai.

Agar tu sun rahi hai, toh bas ek baar laut aa,
Main ab bhi wahi hoon, jise tu kabhi apna kehti thi yaara.
Galtiyan ho gayi ho toh maaf kar dena,
Bas dosti ko aur intezaar mat karwana.


Rate this content
Log in

Similar english poem from Abstract