“
Inn Dino
Lagta hai
Naraaz hai neend mere Khwabo sey
Mere kamre ka darwaza bhool gayi hai Shayad
Shayad, meri palkho ke pardey usey jamey nahi
Maafi, Inn Nadaan khayalo sey ho gayi nafarmaani
Aasman ke Noor mei jo kho jaatey kahi,
Kaafi minnat karli hai tujhse Ay Gustaakh neend,
Naraaz na ho mere Khwabo sey.
”