Dusro se pehle ,kab khudko tatol paungi
Gairon pe dosharopan se pehle kab apni galtiyon se aankh milaungi.......
Dil tu jhuk mat,tujhe manzil milegi
Tu khud se mil,tu khud ko smjh
Tu khud ko jaan
Manzil milegi phir,ek baar tu apne sapno ko pehchaan
KITABON KI DUNIYAAN KA HISSA BANNE KI KHWAHISH RAKHTI HU,
UNN PANNO KO JINNE KI KAWAYAD RAKHTI HU
JINA CAHTI HU HAR US LAMHE KO,
JO KALI SYAHIYON SE IN KITABON PE GADHE JAATE HAIN,
MAIN IN KITABON KO JINA CAHTI HUN